Ek Tees hai

Aaj tees si hai in aankho me
Jane kyu ye khulna nahi chahti
Janti hain shayad
Ke tu nahi hai saamne
Isliye sach ko apnana nahi chahti
Tees si hai in aankho me

Neer kab se sookha inme
Palke bas karvate si badalti hai
Bhari hoti hain kabhi kabhi
Par ye machalti hain, bilakhti hain
Chahe anchahe tera intazaar karti hai
Tees si hai in aankho me

Raaste ki dhool me ye
Tera nishaa dhoondti hai
Katra katra khagaalne ke baad
Badhawaas hokar jab
Ye behne lagti hain
To dard ka ehsaas hota hai mujhe
Tees si hai in aankho me

Be-manzil musafir ki tereh
Teri aas me bhatakti rehti hai
Samajhti nahi ye zindagi ka taana baana
Bas teri fikar kiya karti hain
Marz tu hai inke dard ka
Par, par tu us paar hai
Jahan roshni bhi jaati nahi,
shayad isliye, ab bhi baaki
Ek tees hai in aankho me..

Leave a comment